How to Verify and Customize Youtube Channel||Youtube channel ko verify and customize kaise karein

How to Verify and Customize Youtube Channel||Youtube channel ko verify and customize kaise karein



Hello friends welcome to Tech Elysium .Aaj hum is article me dekhenge ki kaise aap apne Youtube channel ko verify and customize karenge.friends agar aap chahte hain aap apne Youtube channel par Thumbnail laga sake aur 15 min se jyda ke duration wali videos upload kar sake to aapko apna youtube channel verify karna hoga .

Aaj mein aapko yahi bataunga ki kaise aap aisa kar sakte hain jisse aap apna youtube channel verify kar payenge...sath hi mein aapko bataunga ki kaise aap apna youtube channel customize  karenge..

How to verify YouTube Channel?

Pehle aako apne email id se Youtube channel par login kar lena hai ..jis email id se aapka youtube channel se create hua hai..

Yahan login hone ke baad aapko left side me setting par click karna hai aisa karne se ek nayi page open hogi yahan aapko pehle channel status and features par click kar lena hai ...

Aisa karne se ek aur page open hogi yahan aapko 3 option dikhenge 

Basic info
Advance setting
Feature eligibility

Yahan aapko feature eligibility par click karna hai..aur fir iske under features that require phone verification ke saamne pehle arrow par click karna hai fir verify phone number par click karna hai.. verify phone number par click karne ke baad ek page open hogi yahan aapko pehle apna mobile number enter karna hai..fir choose karna hai ki verification code message ya fir call ke madhiyam se prapt karna chahte hain.

Mobile number enter karne ke baad aapko get code par click kar dena hai ...aisa karne se aapke diye huye mobile number par ek code aayega ushe fir aapko enter karna hai fir 6 digit ka verification code enter karne ke baad aapko submit par click kar dena hai..submit par click karne ke baad ek page open hogi yahan ek message display hoga phone number verified.

Friends ab aap dubara feature eligibility  ke under ja ke dekh sakte hain ki aap ab elligible ho chuke hain thumbnail and 15min se jyda duration wale videos upload karne ke liye.

How to customize YouTube Channel?

Ab hum jaan lete hain ki aap apne youtube channel ko kaise customize karenge..Iske liye aapko Customize channel par click karna hai yahan se aap apne channel ka logo ,banner image,watermark image laga sakte hain..sath hi aap apne channel ki description bhi likh sakte hai..

Branding ke under aap Logo channel banner image and watermark image upload kar sakte hain ...sath hi aap basic info par click karke apne channel ka description bhi likh sakte hain..

Friends mene iske upar ek video bhi banayi huyi hai aap ise video ke madhiyam se sikhne ke liye niche click kar ke dekh sakte hain...



Post a Comment

0 Comments