psb unic app registration 2021 punjab sind bank unic

psb unic app registration 2021,psb app ,psb unic,punjab sind bank unic app,punjab sind bank unic registration ,unic app registration 2021 ,punjab sind bank unic app registration,how to register for psb unic app,how to register psb unic 2021,how to register for psb unic app,how to register for psb unic..

Hello friends aaj me aapko bataunga ki kaise aap punjab sind bank ke unic app ke liye register kar sakte ho...punjab sind bank government bank hai jiski service bahut hi umda hai ...jaisa inka slogan hai where service is a way of life....



Service provided at punjab sind bank:

Jaisa mene aapko bataya ki punjab sind bank ek government bank hai yahan wo sabhi services aapko milenge jaise aapko sbi ,pnb jaise government banks me milti hai...aap yahan apna saving bank ac ,jandhan ac ,current ac ,rd fd nre nro jaise acs bhi open karwa sakte ho....sath hi bank me aap pm suraksha yojana pm jiwan jyoti bima yojana ,atal pensionm yojana jaise schemes se bhi apne aap ko jod sakte ho jisse aapko 2 lak tak ke insurance ka cover milta hai..

sath hi sath aapko governments schemes jaise PPF, SUKANYA SAMRRIDHI AC ,Senior citizen saving ac Open karne ka bhi option milta hai ...jisme invest karke aap achi khasi interest bhi earn kar sakte ho ..

Punjab sind bank aapko FDR par general public ko 5.05 % ki interest bhi provide karta hai jo abhi dec 2021 tak latest hai....FDR par senior citizen ko 5.55% ka interest milta hai ...

Agar aap 2 lakh ka fdr open karte ho to aapko 2 saal baad 10 thousand tak interest mil jata hai..sath hi sath aap fdr ke against loan bhi le sakte ho jo bahut hi asani se open ho jata hai jisme aapko apna fdr bhi break nahi karana padta..

punjab sind bank me aapko kcc,education loan ,Housing loans,gold loan,vehicle loan two wheeler aur four wheeler loan asani se mil jata hain wo bhi kum interest par..ins sab loan ke liye bas aapko kuch parameters ko fulfill karna hota hai jaise ki 3year ki itr returns,collateral securities ,3rd party gurantee etc jo sabhi loans ke liye applicable nahi hoti hai...Gold loan par to punjab sind bak sirf 7% ke interest par loan dete hain jo ki mahine ( month )ka hota hai 0.58% .

Agar aapko inme se kisi bhi loan ya fir kisi or loan ke liye bhi apply karna ho to aap punjab sind bank ke official website par ja kar check kar sakte ho ya fir apne nearest branch me ja kar check kar sakte ho...

Punjab sind bank Official site          click here


How to register for psb unic app :

Ab hum baat kar lete hain ki agar aapka punjab sind bank me saving ,current,nre,nro acs hai to kaise aap psb unic app ke liye register kar sakte ho wo bhi easy steps me..

1.Psb unic aap register karne ke liye sabse pehle to apke pass punjab sind bank me ac hona chahiye.

2.fir aapko us ac se related atm issue karwana hoga kyuki atm ke bina aap psb unic app operate nahi kar sakte ...kyuki aapko ek upi pin generate karna hota hai jo aap atm ke bina nahi kar sakte.

3.jab aapke paas atm activate ho jaye tab aapko play store se psb unic app download karna hai .

psb unic app download link            click here


4. aap punjab sind bank ke official website par ja kar bhi is app ko download kar sakte ho.

psb unic app website download app link       click here

5. Yahan par aapko register par click karna hai .Yahn click karne ke baad apko registered mobile no.,customer id,ac no.email id,fir aapko i am existing internet internet banking user ko select karna hai aur fir terms and condition ko select kar lena hai aur next par click kar dena hai.


iske baad aapko channel credentials,login credentials ,set up karna hai uske baad aapko upi id create karna hai ..jisme aapko apne atm ke lat ke 6 digits enter karne hai aur fir aapke registered mobile no par otp ayega use aapko enter karna hai jisse aapko apna mpin set karne me asani hogi.mpin set karne ke baad apko tpin set karna hoga ..

psb unic ke liye register kaise karein:

Agar aap mobile se psb unic app download karna chahte ho tab aap mobile par play store se app ko download karna hai fir signup karna hoga jaisa mene aapko upar bataya hai fir singup hone ke baad aapko retail account par click karna hoga ..yahan click karne ke baad aapko apna mobile verify karna hai jiske liye terms and condition select karna hai aur fir send sms par click kar dena hai..

iske baad aapko sim 1 ya fir sim2 se no select karna hai aur proceed pa click karna hai ..iske baad apka account fetch ho jayega.

yahan aap mpin ya fir user name aur password se login kar sakte ho.Aisa karte hi aapke samne aapke sabhi related acs aapko display hone lagte hain.

I hope ye post aapko pasand aya hoga pasand aya ho to jyda se jyda share karo...mere youtube channel ko bhi subscribe kar lo jahan aapko tech videos ki info milti rahegi..

Post a Comment

0 Comments